Rockstar activation code ko Rockstar games launcher ke help se redeem kiya jaa sakta hai.
Kripya confirm kare ki aapne games launcher ko download aur install kar liya hai. Yadi aapne nahi kiya hai, toh aap yaha launcher ko download kar sakte hai.
Rockstar activation code redeem karne ke liye niche diye gaye steps ko follow kare:
Please note: Code redemption ke liye ek valid internet connection ki zarurat hai.
1. Game Launcher open kare aur apne Rockstar games social club account se sign in kare;
|
2. Screen ke top-right side me apne avatar par click kare;
|
3. "Redeem Code" option ko select kare;
|
4. Field me apna Rockstar activation code enter kare aur code ko sahi tarike se enter karne ke liye "Check" button ko select kare;
Kripya activation code field ke niche di gayi jaankaari ko padhe. Aapko yeh check aur confirm karna hoga ki info me account name correct account hai.
|
5. Aapke dwara enter kiya gaya activation code un item ki list ke saath dikhayi dega, jo aapke account ko activation par milenge. Kripya checkbox ke paas di gayi jaankaari ko dhyaan se padhe. Yeh item aur destination account ko validate karega.
Agar sab kuch thik hai, toh aap list ke niche moujood checkbox par tick kar sakte hai aur "Redeem" button par click kar sakte hai.
|
6. Iske baad Rockstar activation code ko account me redeem kiya jayega. Aapka game jo hai, Game library ke andar dikhayi dega aur aap ise install kar sakte hai. |
Important Note:
- Yeh confirm kare, aap sahi Rockstar games social club account par code activate kar rahe hai, screen ke niche details ki jaanch kare.
- Sabhi Rockstar activation code One-time use kiye jaane wale code hai aur unki sabhi item ko Rockstar games social club account par sthaayi roop se laagu kiya jaayega, jise redeem karte samay Rockstar games launcher me sign in kiya gaya hai.