Hi Codashoppers!
Yeh humare dhyaan me aaya hai ki kuch log ghotaale ke shikaar hue hai jisme Codashop ka naam liya gaya hai. Jaise ki hum aapki safety ki importance dete hai, isiliye hum aapko yaad dilana chahenge ki aapke dwara kharide gaye Voucher Code ke baare me kisi ko bhi suchit na kare.
Kripya yeh yaad rakhe ki:
- Humari system, Voucher Code ko usi Email ID par ya fir usi Phone Number par SMS ke zariye bhejenge, jo aapne transaction ke douraan enter kiya hai. Yeh aapke payment method ke aadhar par kiya jaayega;
- Voucher Code sirf One-Time-Use ke liye hai;
- Aapko Voucher Code bheje jaane ke baad, aap hi us Voucher Code ke liye zimmedaar rahenge.
Yadi aapne, kisi bhi tarah se, apne Voucher Code ki jaankari kisi aur ko diya hai, aur ve us Code ka upyog karte hai, toh transaction ko refund karna humare liye sambhav nahi hoga. Kripya adhik jaankari ke liye yaha humare niyam aur sharton ki jaanch kar sakte hai.
Iske alava, kripya dhokebaazo ya scammer se khud ko bachane ke liye niche diye gaye points ko dhyan me rakhe:
- Apni personal information aur OTP kisi ke saath share na kare;
- Social networking sites ya Email par kabhi bhi suspicious link par click na kare;
- Humesha sunishchit kare ki aap Codashop ki Official Website se kharidari kar rahe hai;
- Agar kisi website ya free offer ki validity ke baare me doubt hai, toh use guarantee karne ke liye humari Customer support team se sampark kare.
- Aur isse bhi zyada important baat yeh hai ki Voucher Codes ko cash ke badle istemaal nahi kiya jaata hai.
Kripya yeh bhi dhyaan de ki Codashop aur Coda Payments ke employee aapse kabhi bhi OTP ki maang nahi karenge.
Dhanyawaad aur humesha surakshit rahe! 😉